Chew on it.

Chances are all we have.

Month: November, 2013

Protected: -43

This content is password protected. To view it please enter your password below:

Protected: -37

This content is password protected. To view it please enter your password below:

Experiment 2

Aaj shaayad ek jhagda ho hi jaata.

Din bhar mujhe saans lene ka waqt nahi tha, aur tumhein 7 baje call karti. Tum jaldi mein kuch jyaada nahi kehte aur college chale jaate.

Ghar der se lauti. Tumhaari aawaz se thakaan nikal jaati hai. Issi ummeed se phir call karti aur tum kehte, “Baby, I’ll call in a bit.” Main khudko daant-ti, yeh sochkar ki maine soch bhi kaise liye ki tumhe waqt milega. Mera din dhal gaya hai – tumhaari dopahar hai.

Apna kaam karti – jaise ab kar rahi hoon, aur baar baar phone check karti yahi dekhne ki shaayad tumne call kiya ho. Aur jab call nahi aaye tab phir khud ko kosti ki padh raha hai, padhne do. Nazar ab jitni naa chaaho utni hi phone pe lipat gayi hai. Thhaan liya hai ki bas, ab phone toh karna hi hai. Phir bhi rok leti hoon.

Computer se bistar tak jaate jaate ek baar mann karta ki bohot ho gaya, ab khud phone karungi.

Bhool jaati hoon ki main ab 18 ghanton se jaagi hoon, unnmein 16 ghante kaam kar rahi hoon, aur unnhi 18 ghanton mein tumhaare liye thehri hoon. Bhool gayi hoon ki kal bhi utna hi waqt kaam karne mein beetega aur jitni der jaagungi usska har pal yeh chaahungi ki tum call karne yaad karo.

Yaaddasht kameeni cheez hoti hai. Apna waqt bhula deti hai – tumhein nahi.

Jab phone bajta hai, tum uthaate ho. Ab pyaar se phir kahoge, “Sorry, sorry, call karne hi wala tha. Tumhaara din kaisa tha?”  aur main duniya ke iss taraf andhere mein tumhein paas lekar bhool jaaungi ki aaj train mein chappal tooti, ek script 4 baar likhni padi, ek file delete ho gayi, lunch bhool gayi, client ne brief change kiya, aur do projects mujhe diye gaye, ghar der se lauti, Maa bhi so gayi thi – aur bas kahungi ki din bohot accha tha.

Par tab tum kahoge, “Radha so jaao.  Main jagaaunga. Theek hai?”

Aur main so hi nahi paaungi.

Experiment

Neend teri
Yaad teri
Chataai teri
Bistar mein baithi
Thandak teri
Aawaz teri
Hassi teri
Chuppi teri
Chhupi hui daraati
Dastak teri
Aanch teri
Saans teri
Goonj teri
Takiye ko mehkaati
Har loo teri
Baat teri
Sehlaahat teri
Daant teri
Iss kaaya ko sajaati
Har kaat teri
Kalam teri
Jalan teri
Ghutan teri
Jaan khaa legi
Doori teri
Aankh teri
Baah teri
Raah teri
Mar gayi saali
Hoke teri

Protected: -33

This content is password protected. To view it please enter your password below:

Mahua

Take a break. Take a trip.

Blast A Trumpet

Slowly making incisions in everything I come across

Raj Sivaraman

Part Time Genius, Full Time Hyperbolizer

THROES OF LUNACY

Don't expect brilliance. Mediocre at best.

Chew on it.

Chances are all we have.

Immature Fruit

Poetry, Travels, Sketches, Writings and a Sip of Inspiration with Passion.

A Dowg's Life

I’m a dowg. Woof.